Chhod De Sari Duniya Kisi Ke Liye (छोड़ दे सारी दुनिया किसी के लिए)
Presenting the lyrics of Chhod De Sari Duniya Kisi Ke Liye (छोड़ दे सारी दुनिया किसी के लिए) from Saraswatichandra (1968), beautifully sung by Lata Mangeshkar. featuring Nutan. The lyrics are penned by Indeevar.
Read the complete lyrics of Chhod De Sari Duniya Kisi Ke Liye (छोड़ दे सारी दुनिया किसी के लिए) and enjoy this beautiful song. Explore more Hindi, Bollywood, and latest song lyrics on Lyrics Sangrah.
Listeners love this track for its relaxing tune and meaningful words.
Lyrics
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Tan se tan kaa milan ho na paayaa to kyaa
Man se man kaa milan koyi kam to nahin
Man se man kaa milan koyi kam to nahin
Khushboo aati rahe door hi se sahi
Saamne ho chaman koyi kam to nahin
Saamne ho chaman koyi kam to nahin
Chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
Chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
Hai diyaa hi bahut roshni ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Kitni hasrat se takti hain kaliyaan tumhen
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
Kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
Ek duniyaa ujad hi gayi hai to kyaa
Doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
Doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
Dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
Dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
Chalnaa padtaa hai sab ki khushi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
Ye munaasib nahin aadmi ke liye
Pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
Pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
Chhod de saari duniya kisi ke liye
छोड़ दे सारी दुनिया किसी के लिए ये मुनासिब नहीं आदमी के लिए प्यार से भी ज़रूरी कई काम हैं प्यार सब कुछ नहीं ज़िंदगी के लिए तन से तन का मिलन हो न पाया तो क्या -२ मन से मन का मिलन कोई कम तो नहीं खुशबू आती रहे दूर से ही सही सामने हो चमन कोई कम तो नहीं चाँद मिलता नहीं सबको सँसार में है दिया ही बहुत रोशनी के लिए कितनी हसरत से तकती हैं कलियाँ तुम्हें क्यूँ बहारों को फिर से बुलाते नहीं एक दुनिया उजड़ ही गई है तो क्या दूसरा तुम जहाँ क्यूँ बसाते नहीं दिल ने चाहा भी तो, साथ सँसार के चलना पड़ता है सब की खुशी के लिए
Frequently Asked Questions
Everything you need to know about LyricsSangrah - answered simply and clearly.
"Chhod De Sari Duniya Kisi Ke Liye (छोड़ दे सारी दुनिया किसी के लिए)" is sung by Lata Mangeshkar.
This song is from the movie Saraswatichandra (1968).
The lyrics are written by Indeevar.
You can read the full lyrics of "Chhod De Sari Duniya Kisi Ke Liye (छोड़ दे सारी दुनिया किसी के लिए)" on this page.
